Youtube: se Paise Kamane Ke Best Tarike
Publish: 05 July 2024, 6:40 am IST | Views: 174
Youtube me Sucsess hone ke liye Khas Bate,
Dosto, internet se paise kamana jitna saral hai, utna kathin bhi,
Youtube se Paise Kamaye to ja sakte hai, lekin Paise wahi kamate hai, jo uske liye mehnat, aur kuchh jaruri bato ka dhayn rakhte hai; aapne youtube me video to jarur dekha hoga; mai film ki, video gane , ki baat nahi kara, mai baat kar rahu aise video ki jisme screen ko Record kiya ho ya, koi aur , Aap yaad karne ki kosis kare, aapne aisi bhi video jarur dekha hoga, jise muskil se 1 minut tak dekh paye honge, jabki wah video 10 minut ka rha hoga, us video me kya achchha nahi laga, use aap soche, aur ye bhi soche ki Youtube ke video me kya khasiyat honi chahiye, aapko video ki kuchh khash bato se parichay karya jar aha hai, Video me 10 achchhai hai, yah badi baat nahi, balki kitni burai hai, achchhai ko dur karne ke liye yah badi baat hai, apne video me kharabi ko dekhe aur best video banaye,
agar Youtube se Paise kamane ki soch rahe hai, to aapke liye yah sunahara avsar hai, Youtube ke Madhyam se itna Paisa Kamaya Ja sakt hai, jo blogging me bhi nahi milta; to aaiye youtube Class me………..
Youtube se Paise Kaise milte hai,
is baat ko yakin kar pana bahut muskil hota hai, kyoki kahne aur karne me bahut antar hota hai, usi tarah se Youtube se Paise Kamana,
Logo ke man me ye sawal baar-baar uthte rahte hai,
Kya wastav me Youtube se Paise Kamaye ja sakte hai,
iska Uttar dete Huye, Kahna Chahunga haa, wastav me Youtube se Paise Kamaye Ja sakte hai,
Chaliye aap Dhayan se samjhne ki kosis kare,
Youtube me Video Uppload karne ke liye kisi naam ka Chanal Banana hota hai,
Uske Baad Usme Video Upload kiya jata hai,
Uske baad Video ko Monitaze karna hota hai,
Aur adsense se Jodna hota hai,
Jaise aapne tv me vigyapan hote hai, waise hi aapke dale video ke upar Youtube apna kuchh ads Vigyapan dikhata hai, aur jab koi, us vigyapan ads ko dekhta hai, to isse Paise milte hai,
Waise 1000 view ke 1$ se 2$ tak milte hai, aur kabhi-kabhi 10$ Bhi Kamai ho jata hai. Youtube me aise bhi channel hai, jo Per , Lakh aur isse bhi Jayda Kama Rahe Hai. Yah Aapke Upar Hai, ki aap Kitna Kama Sakte hai.
Dolar ka kimat india me abhi 64 ke aas pass Rupye Chal raha hai,
Youtube me Kamaye Paise ko Nikalne ke liye ,
Adsense se sidhe bank Transfer karna Hota hai,
Youtube me kaam karne ke liye kya chahiye,
You tube me kaam karne ke liye Computer Ya Laptop Jaruri hai, Ya Kar Sake To mobile se kar sakte hai,
Kyoki iske bina koi bhi kaam nahi kiya ja sakta , Video ko edit karne ke liye Mouse Bahut jaruri hai, agar aap Laptop me bhi video Editing karte hai, to Mouse alag se Lagega, Yah kisi bhi Computer store me 150 Rupye se suru hota hai, aap apne pasand se le sakte hai, Mouse is tarah se le ki aapke hath me fit ho jaye,
Computer me Ram, Hard Disk, Processer, Ram kam se kam 2GB, Hard Disk, 250 se 500 ya Jayda Bhi Rakh sakte hai, Processer Dual Core, Ya i3, i5, i7 ya aap jitna chahe Rakh sakte hai, Pantiyam bhi use kar sakte hai, o aapke Computer ke Upar hai ki kitna Processing leta hai,
Tip:-jaruri bate, Agar aap Video Editing ka software Apne Computer me install karte hai, to Aapke Computer ka speed kam ho sakta hai, Yaha par aapko Chahiye ki, jo software kam nahi use Computer se Uninstall kar de, isse aapka Computer fast karne lagega, aur Baar-Baar Hang hone se Computer Bach Jayega |
Video ki Quality.
Youtube par video ki quality bahut sunder honi chahiye,
jisse log Video ko sunder clearity se dekh sake,
Video ki Quality 144 se start hota hai,
jisme samay keypad screen me use kiya ja sakta hai,
yah Quality 3gp se bhi kam Hota hai,
240p hota hai, jo sadharan mobile me dekha ja sakta hai,
3gp me Wah Quality hota hai, jisme samany keypad 1 inche ke screen me dekha ja sakta hai,
Youtube me Video ko 380 me dekhna log jayda pasand karte hai,
360p me wah log dekhna pasand karte hai, jo samany jankari lane hota hai,
aur video ko sift jankari ke liye dekhana hota hai.
480hq me screen bahut saf-clear dikhai dene lagta hai, is quality me screen ko special clear dekha ja sakta hai,
aur sabhi is Quality ko Pasand karta hai, aur jiske pass internet speed chalta hai,
wah sabhi is 480hq ko Pasand karte hai, aur full desktop karne par bhi, saf dekha ja sakta hai,
720HD Yah Video ki Hd quality hai, jisme kisi video ko waise hi dekha ja sakta hai, jaise use banaya gaya hai, is Quality me full parda desktop me log dekhna jayda pasand karte hai, is Quality me full internet ki jarurat hota hai, aur iska use log jaydatar Songs Video, Film, aur kisi special video ko dekhne ke liye upyog karte hai.
1080HD Quality
is Quality me video ko dekhne ke liye full internet speed ki jarurat hoti hai,
aur sath me unlimited internet, kyoki ak video ko dekhne se kitne GB tak khapat ho sakta hai,
is Quality me video ko dekhne se, jis tarah se Video ko upload kiya gaya hai, usse bhi video ki clolor ko special dekha ja sakta hai.
Agar aap chahte hai, aapke video ko log apne pasand ke hisab se dekhe, to kam se kam 720HD Quality ka banaye,
Agar Ho sake To 1080HD Quality ka Banaye,
is Quality me video ko 144 se lekar 1080HD tak dekha ja sakta hai,
Audio Quality
Wahi Video special ho sakta hai, jisme aawaj ki clearity ho,
Ak sunder video banane ke liye aawaj ki Quality bhi special honi chahiye,
jisse log kam aawaj me bhi bat ko samajh sake,
Youtube me Video dekhne ke liye aaj ke samay me sabse jayda smartphone ka use karte hai,
Mobile me kam se kam Youtube ko 70% log dekhte hai,
Sabhi mobile me aawaj ko badhane (valume) karne ka option hota to hai, magar full awaj karne par bhi sunai nahi deta,
isliye audio ki Quality aisi ho jisme kam aawaj me bhi spast sunai de,
Gyan:- Apne aawaj ko kabhi kam na samajhna,
Prem me o baat hai, jo sabko apna bana le,
Screen Recorder Software,
agar aap screen ko record karke video banana chahte hai, to iske liye internet me free me bahut sare software mil jayenge,
Jiske madad se screen ko Record Kiya ja sakta hai,
screen Recorder software chunnte ke baad bahut sare, dikkat aate hai,
jaise screen recorder ko chalu karne ke baad atakna,
Computer Hang hona,
Jab screen ko record kar lete hai, aur dekhte hai, ki video ka Quality special nahi hai, iske liye kuchh bato ka follow kare,
screen Recorder software chunne ke liye, pahle ak bar try kar le, Software ko Puri tarah se settings karne ke baad 2 minut ka trial video bana le, aur dekhe kya yah video mere pasand ka hai,
agar pasand nahi aata to Phir se setting kare, uske baad phir se Record kare,
agar phir se Pasand nahi aata to, alag se screen recorder ko download karke use kre,
screen Recorder ko Paid me na kharide, Pahle Trial use kare,
uske baad kharidne ki soche, agar nahi bhi kharidna chahto to koi kharabi nahi.
Screen Rocord ke liye Kuchh Software:-
CamStudio, Camtasia Studio, Ezvid, BlueBerry FlashBack Express Recorder,
Windows Media Encoder, icecream screen recorder, bandi cam screen recorder |
Screen Record ke liye Monitor light,
Screen ko Record karte samay is baad ka Dhayan Rakhe, ki Monitor ka light bahut jayda na ho, tatha kam bhi na ho, aise me Youtube ke liye video Thoda Black bhi ho sakta hai, jo bahut badi kharabi hai, agar video thoda bhi black lage to, dekhte hi video ko band kar denge. Video banane ke baad, Cheak kar le |
Video Camera
Agar aap Video Camera ke madad se Video banana Chahte hai, to yah achchhi baat hai, Video Recorder ke liye aap aise Camera ka use kare jisme ki Video Quality hd Ho, Video Recording karte samay, camera ko hilaye nahi, iske liye thodi trening kar le, uske kuchh samay baad hi video upload kare,
Video Camara image
Agar aap Chahe to to mobile se bhi Record kar sakte hai, Mobile ki Quality bi achchhi hoti hai, lekin agar aap youtube me special Video banana Chahte hai, to Video Camera Jaruri hai |
Lite
agar aap ghar par Video Camera se Recording karte hai, to ho sakta hai, ki light ki jarurat pad sakti hai, iske liye aap uper me lagne wale light, LED, ya CFl, ya stand light ka use kar sakte hai,
Lite stand Photo
is chij ka Dhayan Rakhe ki Light Aankho ko Nuksan na Pahuchaye,
Camera me Recording us samay karna achchha rahta hai, jab sun light ho, ya din me|
Background Color
Room me Video studio ki tarah saja kar, bana sakte hai, agar aise hi video banayege to sadharan lagega,kyoki usme background special nahi hoga |
iske liye parde ka use kar sakte hai, parde ka color full gadha hona chahiye,
aur chikna chamakdar hona chahiye; parde ko hilte huye na rakhe, bilkul plen rakhe, isse Background me chamak aayega, aur bhut special dikhega,
Parde ke liye, Blue, Full Dark red, ya,White, ka use kar sakte hai |
Audio Recorder Device,
Video to bahut sare hote hai, jaise News wale Record karte hai |
Apne Mobile se koi kuchh video banate hai,
Lekin Yaha par baat ho raha hai, aise video ka jisme aawaj ko Record karna hai,
Aapne upar Jana ki Special Video ke liye aawaj ki Clearity special Honi Chahiye,
Apne Audio ko record karne ke liye, kuchh Hardware ka use kar sakte hai,
Jaise:- HeadPhone, Microphone,
Aap google par Screen Recorder Device for pc likhkar search kar sakte hai,
Yah 300 se lekar jitna chahe utne tak me milne wale Audio Recorder Device le sakte hai, Ya Mobile me bhi Audio Record kiya ja sakta hai,
Ya Computer me Microphone ya Headphone Lagakar Audio ko Record Kiya ja sakta hai,
Video Mixing Software,
video ko mixing karna sabse bada chunauti hota hai,
Video ko mixing karne ke liye is tarah ka software use me laye jsime,
Zoom karne ka option ho,
Video ko Slow karne ka, Fast karne ka,
Text add karne ka, Text Color karne ka,
Video me Thim add karne ka,
Callouts video me add karne ka,
Alag se Audio add karne ka,
Alag se Video add karne ka,
Alag se import lena jaise, image, video, audio,
Mp3,And other audio And Video supported,
Transitions, aur bahut sare khasiyah honi chahiye jaise,
Video ko banane ke liye bahut sare Track Open karna,
Cut, Copy, Paste, Delete, is tarah ka,
Video mixing karne ke liye software,
Agar aap mujhse video mixing software puchhe to, mai iske liye ak hi software bata sakta hu, o hai Camtasia Studio, ya filmora bhi use kar sakte hai,
Yah Youtube ke liye Video banane me best hai,
adhiktar log ise use karte hai,
is software me sabhi baat hai, jo video banane ke liye honi chahiye,
Fast internet
youtube me kaam karne ke liye fast internet bahut jaruri hota hai.
Aap jis video ko upload karenge wah 100 MB se upar ho sakta hai,
aise me agar aapka internet slow ho to ghanthe bhi lag sakte hai,
aapka internet itna fast jarur hona chahiye ki, 480p me dekhte samay na atke,
Youtume kam start karne ke baad kisi prakar ki internet pareshani na ho,
Video ko Upload karne ke liye aise samay ka use kare, jis samay server jam na ho,
Adhiktar logo ko internet slow hone ki, pareshani ka samna karna padta hai,
Video editing karte samay Rakhe is baat ka Dhyan,
Video Editing karte samay anya software ko open karke na rakhe, aur khaskarke
Photoshop, Coroldrow, VidualBasic, isse Computer ka Speed Bahut slow ho jata hai, aur Hang bhi hota hai.
Aapko Chahiye ki Editing karte samay koi aur software open karke na rakhe, jo jaruri hai, usi software ko open karke rakhe,
Computer ki Drive bhi utna hi Open rakhe, jitna Jaruri hai, jisme kaam Chal raha ho,
Important Baat
Youtube ki policy ka dhayan rakhe, video upload karte samay puri tarah se special bhare,
Categories: Uncategorized